Akhtar Azad

bewafa hai wo kabhi pyar nahin kar sakta

Akhtar Azad

Hazaribagh, Jharkhand, India

1946
bevafā hai vo kabhī pyaar nahīñ kar saktā
haañ magar pyaar se inkār nahīñ kar saktā
apnī himmat ko jo patvār nahīñ kar saktā
vo samundar ko kabhī paar nahīñ kar saktā
jo kisī aur ke jalvoñ kā tamannā.ī ho
vo kabhī bhī tirā dīdār nahīñ kar saktā
hoñT kuchh kahne ko betāb haiñ kab se lekin
us kī aadat hai vo iz.hār nahīñ kar saktā
us kī chāhat pe bharosa hai mujhe mere sivā
vo kisī aur ko haqdār nahīñ kar saktā
us ko ma.alūm hai vo ḳhud bhī to rusvā hogā
mujh ko rusvā sar-e-bāzār nahīñ kar saktā
vaqt paḌ jaa.e to vo jaan bhī de saktā hai
fan kā saudā koī inkār nahīñ kar saktā
Top Urdushayar.com