Akhtar Azad

kab kaha maine ki tum chahne walon mein raho

Akhtar Azad

Hazaribagh, Jharkhand, India

1946
kab kahā maiñ ne ki tum chāhne vāloñ meñ raho
tum ġhazal ho to ġhazal ban ke ḳhayāloñ meñ raho
husn aisā hai tumhārā ki nahīñ jis kā javāb
is liye jān-e-vafā tum to savāloñ meñ raho
chhup gayā chāñd añdherā hai bharī mahfil meñ
tum mire dil meñ utar jaao ujāloñ meñ raho
apnī ḳhushbū ko fazāoñ meñ bikhar jaane do
phuul ban jaao mahakte hue bāloñ meñ raho
aane jaane kī kahīñ tum ko zarūrat kyā hai
shahr-e-ḳhūbāñ meñ raho mast ġhazāloñ meñ raho
umr-bhar ke liye ho jaao kisī ke 'aḳhtar'
ishq aisā karo duniyā kī misāloñ meñ raho
Top Urdushayar.com