Akhtar Azad

koi chaudhwin-raat ka chand ban kar tumhaare tasawwur mein aaya to hoga

Akhtar Azad

Hazaribagh, Jharkhand, India

1946
koī chaudhvīñ-rāt kā chāñd ban kar tumhāre tasavvur meñ aayā to hogā
kisī se to kī hogī tum ne mohabbat kisī ko gale se lagāyā to hogā
laboñ se mohabbat kā jaadū jagā ke bharī bazm meñ sab se nazreñ bachā ke
nigāhoñ ke raste se dil meñ samā ke kisī ne tumheñ bhī churāyā to hogā
tumhāre ḳhayāloñ kī añgnā.iyoñ meñ mirī yaad ke phuul mahke to hoñge
kabhī apnī āñkhoñ ke kājal se tum ne mirā naam likh kar miTāyā to hogā
kabhī aa.ine se nigāheñ milā kar jo lī hogī bharpūr añgḌā.ī tū ne
to ghabrā ke ḳhud terī añgḌā.iyoñ ne tire husn ko gudgudāyā to hogā
nigāhoñ meñ sham-e-tamannā jalā kar takī hoñgī tum ne bhī rāheñ kisī kī
kisī ne to va.ada kiyā hogā tum se kisī ne to tum ko rulāyā to hogā
judā ho gayā hogā jab koī tum se diyā hogā jab tum ko dhokā kisī ne
hamārī vafā yaad aa.ī to hogī hameñ apne nazdīk paayā to hogā
Top Urdushayar.com