har tabassum ko chaman meñ girya-sāmāñ dekh kar
jī laraz jaatā hai in ġhunchoñ ko ḳhandāñ dekh kar
āḳhir āḳhir hosh hī vahshat bhī thā hairat bhī thā
dil ko ālam-āfrīñ sahrā-bad-amāñ dekh kar
sheva apnā ġham-parastī qibla apnā ḳhāk-e-dil
rūh-e-ġham ko paikar-e-ḳhākī meñ insāñ dekh kar
har tasallī se sivā hotī ga.ī dil kī taḌap
dard kuchh se kuchh huā sāmān-e-darmāñ dekh kar
us ko in.ām-e-ḳhudī aur is par lutf-e-be-ḳhudī
vo karam karte haiñ zarf-e-ahl-e-irfāñ dekh kar
ma.ānī-e-sūrat meñ ham ne terī sūrat dekh lī
terī qudrat dekh lī insāñ ko insāñ dekh kar
qabr-e-'fānī' par maiñ vo barchīda-dāman ai nasīm
muntashir kar ḳhaak lekin un kā dāmāñ dekh kar