Akhtar Azad

yun bhaTakna dar-ba-dar achchha nahin lagta mujhe

Akhtar Azad

Hazaribagh, Jharkhand, India

1946
yuuñ bhaTaknā dar-ba-dar achchhā nahīñ lagtā mujhe
bin tumhāre ye safar achchhā nahīñ lagtā mujhe
pyaar ke is khel meñ anjām sab kā ek hai
TūTnā dil kā magar achchhā nahīñ lagtā mujhe
aasrā allāh kā kaafī hai insāñ ke liye
haath phailā kar bashar achchhā nahīñ lagtā mujhe
maiñ burā huuñ ye bhalā apnī anā meñ mast huuñ
kyuuñ udhar jā.ūñ jidhar achchhā nahīñ lagtā mujhe
aane vaalī nasl ke haq meñ duā.eñ kījiye
phuul se chehroñ pe Dar achchhā nahīñ lagtā mujhe
hotī hai bachchoñ se raunaq har dar-o-dīvār kī
bin parindoñ ke shajar achchhā nahīñ lagtā mujhe
jin gharoñ meñ ho nahīñ shāmil duā māñ-bāp kī
koī bhī ghar ho vo ghar achchhā nahīñ lagtā mujhe
Top Urdushayar.com