Akhtar Azad

shauq-e-izhaar hai karna bhi nahin chahte hain

Akhtar Azad

Hazaribagh, Jharkhand, India

1946
shauq-e-iz.hār hai karnā bhī nahīñ chāhte haiñ
apne va.ade se mukarnā bhī nahīñ chāhte haiñ
koī to hai mujhe jiine kī duā detā hai
ham tire ishq meñ marnā bhī nahīñ chāhte haiñ
tujh se milne kī tamannā bhī bahut hai dil meñ
tire kūche se guzarnā bhī nahīñ chāhte haiñ
dil ye kahtā hai simaT jaa.eñ tirī bāñhoñ meñ
bū-e-gul ban ke bikharnā bhī nahīñ chāhte haiñ
jhāñkte haiñ mirī āñkhoñ meñ bachā kar nazreñ
go ba-zāhir vo sañvarnā bhī nahīñ chāhte haiñ
de ke āvāz koī rok rahā kab se
aur ham haiñ ki Thaharnā bhī nahīñ chāhte haiñ
log sāhil pe khaḌe DhūñDh rahe haiñ motī
bahte paanī meñ utarnā bhī nahīñ chāhte haiñ
Top Urdushayar.com