hāl-e-dil sunāne meñ umr biit jaatī hai
dil meñ ghar banāne meñ umr biit jaatī hai
yuuñ to roz kahte haiñ un ko bhuul jā.eñge
haañ magar bhulāne meñ umr biit jaatī hai
yuuñ to muskurāne ko roz muskurāte haiñ
khul ke muskurāne meñ umr biit jaatī hai
zindagī hamesha jab tīrgī kī zad meñ ho
sham.a ik jalāne meñ umr biit jaatī hai
shauq-e-justujū meñ ham lā-makāñ se guzre haiñ
ḳhud ko āzmāne meñ umr biit jaatī hai
is liye nahīñ karte un se koī va.ada ham
va.ade ke nibhāne meñ umr biit jaatī hai
maut zindagī meñ kuchh fāsla nahīñ lekin
phir bhī aane jaane meñ umr biit jaatī hai
tinkā tinkā joḌā hai ham ne rāt-din 'aḳhtar'
āshiyāñ sajāne meñ umr biit jaatī hai