Kavita Kiran

shabnam se likhun ashkon se likhun main dil ki kahani kaise likhun

Kavita Kiran

Hyderabad, Telangana, India

1963
shabnam se likhūñ ashkoñ se likhūñ maiñ dil kī kahānī kaise likhūñ
phūloñ pe likhūñ hāthoñ pe likhūñ hoñToñ kī zabānī kaise likhūñ
har samt yahāñ hai ret abhī kis tarah chalūñ tā-umr yahāñ
is ret pe bante naqsh nahīñ ab apnī nishānī kaise likhūñ
ye uljhan to bas uljhan hai kuchh paanā hai kuchh khonā hai
sāhil kī tamannā karte hue maujoñ kī ravānī kaise likhūñ
kyuuñ ret pe DhūñDhte phirte ho ab haath na aa.egā ye sarāb
ye baat haqīqat hai lekin maiñ dil kī zabānī kaise likhūñ
haiñ dil kī bāteñ yuuñ to bahut kuchh kahnā hai kuchh sunñā hai
is kāġhaz ke ek TukḌe par maiñ apnī kahānī kaise likhūñ
har daur nayā hai baat na.ī māyūs nahīñ hai phir bhī 'kiran'
in bichhḌe hue añdhiyāroñ kī hai baat purānī kaise likhūñ
Top Urdushayar.com