ham ahl-e-zarf haiñ yuuñ hī ḳhafā nahīñ hote
vafā-shi.ār kabhī bevafā nahīñ hote
kuchh aise aañsū bhī rahte haiñ merī palkoñ par
judā to hote haiñ phir bhī judā nahīñ hote
jo zaḳhm tum ne navāze haiñ be-sabab ham ko
kisī bhī dard kā vo mas.ala nahīñ hote
kahā ye kis ne kahāñ se ye sun ke aa.e ho
jo be-sahārā haiñ vo aasrā nahīñ hote
har ek gaam pe jo laḌkhaḌā.e rahte haiñ
ġhubār-e-rāh meñ vo rāsta nahīñ hote
charāġh to haiñ magar itne dhuñdle dhuñdle kyuuñ
'kiran' tumhāre to ye naqsh-e-pā nahīñ hote