Fani Badayuni

qissa-e-zist muKHtasar karte

Fani Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1879-1941
qissa-e-zīst muḳhtasar karte
kuchh to apnī sī chārāgar karte
maut kī niind so ga.e bīmār
roz kis shaam ko sahar karte
sach hai har naala kyuuñ rasā hotā
mere naale the kyuuñ asar karte
ḳhud vafā kyā vafā kā badla kyā
lutf ehsān thā agar karte
kar liyā tere naam par sajda
ab kahāñ qasd-e-sañg-e-dar karte
aas hotī to is sahāre par
sabr mumkin na thā magar karte
kaash ā.īna haath se rakh kar
tum mire haal par nazar karte
tūl-e-rūdād-e-ġham ma.āz-allāh
umr guzrī hai muḳhtasar karte
ġham ne mohlat na dī ki ham 'fānī'
aur kuchh din abhī basar karte
Top Urdushayar.com