Kavita Kiran

mila tha koi sar-e-rah ajnabi ki tarah

Kavita Kiran

Hyderabad, Telangana, India

1963
milā thā koī sar-e-rāh ajnabī kī tarah
aziiz lagtā hai jo mujh ko zindagī kī tarah
vo ek shaḳhs añdheroñ meñ jis ne chhoḌ diyā
vo ab bhī rahtā hai āñkhoñ meñ raushnī kī tarah
ye aarzū mirī barsoñ kī hai ki aap mileñ
farishta ban ke nahīñ ban ke aadmī kī tarah
sameT rakkhā thā jis kahkashāñ ko dāman meñ
vo ghar meñ utrī hai ik taaza raushnī kī tarah
ham is liye hī to palkeñ bichhā.e rahte haiñ
bahut aziiz ho tum ham ko shā.erī kī tarah
vo ek sach mirī āñkhoñ meñ hai 'kiran' ab bhī
jo ḳhvāb ban ke rahā dil meñ raushnī kī tarah
Top Urdushayar.com