vafā kā zikr nahīñ hai karam kī baat nahīñ
tire sulūk meñ phir bhī sitam kī baat nahīñ
tujhe maiñ chāhūñ ye merā nasīb hai lekin
agar tū mujh ko na chāhe to ġham kī baat nahīñ
hasīn shaam jo guzrī vo yādgār banī
ye baat vaise bhī sach hai bharam kī baat nahīñ
har ek baat kā merī ḳhudā rahegā gavāh
har ik janam kī hai ye ik janam kī baat nahīñ
ġhazal vo kaisī vo naġhma hī kyā rahegā 'kiran'
tire kalām meñ jab tak sanam kī baat nahīñ