mujh ko kabhī bhī un se shikāyat huī nahīñ
shāyad isī liye to mohabbat huī nahīñ
ġhairoñ se mehrbānī kī ummīd kyā kareñ
ham par to aap kī bhī ināyat huī nahīñ
vo log kūche kūche bhaTakne lage haiñ aaj
jin ko ḳhud apne ghar se bhī chāhat huī nahīñ
ham hī to the jo vaqt pe hī kaam aa ga.e
achchhā huā ki ham se adāvat huī nahīñ
maiñ ne kabhī kisī kā dukhāyā nahīñ hai dil
mujh ko kabhī kisī se nadāmat huī nahīñ
tūfān-e-bād-o-bārāñ meñ sab bah gayā 'kiran'
barsāt ab kī bā.is-e-rahmat huī nahīñ