kahā ye kis ne ki ab mujh ko tum se pyaar nahīñ
ye aur baat hai tum par vo iḳhtiyār nahīñ
mire to apne hī āñgan meñ paañv zaḳhmī hue
mujhe yahāñ pe kisī par bhī e'tibār nahīñ
tamām umr kaTī terī raah takte hue
kuchh aisā haal hai ḳhud apnā intizār nahīñ
kabhī ke ḳhatm huī e'tibār kī duniyā
kisī ke vāste ab koī be-qarār nahīñ
chaman meñ kaisī havā chal rahī hai ab ke baras
guloñ ke chehroñ pe pahlā sā ab nikhār nahīñ
sulūk-e-dost ne kyā aisā kar diyā hai 'kiran'
ki umr kaT ga.ī dil ko magar qarār nahīñ