Kavita Kiran

KHizan ka KHauf bhi hai mausam-e-bahaar bhi hai

Kavita Kiran

Hyderabad, Telangana, India

1963
ḳhizāñ kā ḳhauf bhī hai mausam-e-bahār bhī hai
kabhī tumhārā kabhī apnā intizār bhī hai
simaTtī jaatī huuñ baḌhtī haiñ dūriyāñ jab bhī
ajiib shaḳhs hai nafrat bhī us se pyaar bhī hai
huā hai zaḳhmī mirā e'timād jis din se
udaas hī nahīñ dil merā be-qarār bhī hai
alag hai sab se tabī.at hī us kī aisī hai
vo be-vafā hai magar us pe e'tibār bhī hai
bahāreñ jaatī haiñ jaane do tum to ruk jaao
bahut dinoñ se tabī.at meñ intishār bhī hai
khaḌī huuñ aaj bhī maiñ sañg-e-mīl kī sūrat
'kiran' kisī kā zamāne se intizār bhī hai
Top Urdushayar.com