be-ḳhudī pe thā 'fānī' kuchh na iḳhtiyār apnā
umr bhar kiyā nāhaq ham ne intizār apnā
tāb-e-zabt-e-ġham ne bhī de diyā javāb āḳhir
un ke dil se uThtā hai aaj e'tibār apnā
ishq zindagī Thahrā lekin ab ye mushkil hai
zindagī se hotā hai ahd ustuvār apnā
shikva barmalā karte ḳhair ye to kyā karte
haañ magar jo ban paḌtā shikva ek baar apnā
ġham hī jī kā dushman thā ġham se duur rahte the
ġham hī rah gayā āḳhir ek ġham-gusār apnā
le gayā chaman ko bhī mausam-e-bahār aa kar
ab qafas kā gosha hai hāsil-e-bahār apnā
jhuuT hī sahī vaada kyuuñ yaqīñ na kar lete
baat dil-fareb un kī dil umīd-vār apnā
inqilāb-e-ālam meñ varna der hī kyā thī
un ke āstāñ tak thā ḳhair se ġhubār apnā
dil hai muztarib 'fānī' aañkh mahv-e-hairat hai
dil ne de diyā shāyad aañkh ko qarār apnā