Masud Husain Khan

tere dayar mein koi bhi ham-zaban na mila

Masud Husain Khan

Qaimganj, Uttar pradesh, India

1919-2010
tire dayār meñ koī bhī ham-zabāñ na milā
hazār naqsh mile koī rāzdāñ na milā
maiñ sochtā huuñ ki ye bhī hasīn haiñ lekin
tasavvur-e-ruḳh-e-jānāñ kā imtihāñ na milā
ye sach nahīñ hai ki chhuTne ke ba.ad jān-e-visāl
tujhe zamīñ na milī mujh ko āsmāñ na milā
adā-e-ḳhās milī aur salā-e-ām milī
magar kahīñ bhī vo andāz-e-jān-e-jāñ na milā
gadā-shanāsī-e-ahal-e-karam musallam hai
ham uTh ke jis ke qadam leñ vo pāsbāñ na milā
jahāñ bhī dekhā vahīñ paayā tujh ko jān-e-visāl
tirī nigāh kā partav kahāñ kahāñ na milā
vo dil hī kyā jo mohabbat se āshnā na huā
safīna kyā vo jise bahr-e-be-karāñ na milā
kise sunā.eñ ġhazal bahr-e-sharh-e-dil 'mas.ūd'
ki is dayār meñ koī bhī nukta-dāñ na milā
Top Urdushayar.com