ham ne to justujū ko bhī hai mudda.ā kiyā
ya.anī ki dil ke dard ko husn-e-navā kiyā
har jumbish-e-nazar meñ nihāñ tere inqalāb
mujh ko ghaTā diyā kabhī mujh ko sivā kiyā
ai kaash terā husn hī asl-e-hayāt ho
terī nazar se ham ne haqīqat ko vā kiyā
us dashna-e-nazar kā bhalā aur kyā javāb
hamdam meñ dil ke chaak hī baiThā siyā kiyā
us rahguzar se ab vo na guzregā ai nadīm
kuchh maiñ ne kah diyā thā magar us ne kyā kiyā
maiñ us se sarḳhushī meñ vahī baat kah gayā
kitnā burā kiyā are kitnā burā kiyā
kyā kyā jatan kiye na mohabbat meñ ai nadīm
kyā pūchhte ho kyā na kiyā aur kyā kiyā
ab bāz-gasht kī koī sūrat nikal sake
yuuñ to tire baġhair bhī ye dil jiyā kiyā
ik chūmtī huī sī nazar Daal kar
'mas.ūd' tum ne ek sanam ko ḳhudā kiyā