Masud Husain Khan

teri wafa mein mere intizar mein kya tha

Masud Husain Khan

Qaimganj, Uttar pradesh, India

1919-2010
tirī vafā meñ mire intizār meñ kyā thā
ḳhizāñ ke dard meñ zaḳhm-e-bahār meñ kyā thā
ye sochnā thā na ho jaa.eñ is qadar majbūr
ye dekhnā thā tire iḳhtiyār meñ kyā thā
laboñ ne phuul tarāshe nazar ne barsā.e
magar vo kāvish-e-mizhgān-e-yār meñ kyā thā
udhar ḳhayāl thā ruḳhsār-o-chashm-o-lab kā idhar
ḳhabar nahīñ dil-e-ummīd-vār meñ kyā thā
nazar ke kāñTe pe tul kar subuk hue na garāñ
tavāzun-e-nigah-e-nau-bahār meñ kyā thā
nigah meñ ramz-e-ġhazal lab pe maqta-e-tamkīñ
bayāñ to kījiye us iḳhtisār meñ kyā thā
laboñ ko tum ne to 'mas.ūd' sī liyā thā magar
tabassum-e-nigh-e-rāz-dār meñ kyā thā
Top Urdushayar.com