Masud Husain Khan

aaj bhi tishna-labi tishna-labi hai ai dost

Masud Husain Khan

Qaimganj, Uttar pradesh, India

1919-2010
aaj bhī tishna-labī tishna-labī hai ai dost
kyā na chhalkegī jo āñkhoñ meñ bharī hai ai dost
jo kamī pahle thī vo phir bhī kamī hai ai dost
ye jo thoḌī sī hañsī zer-e-labī hai ai dost
aap ko dekh mire zauq-e-fanā ko bhī dekh
ye tirī shīshagarī dard-sarī hai ai dost
mai-e-gulfām meñ kuchh durd-e-tah-e-jām sahī
vo ḳhushī kaisī ḳhushī jis meñ kamī hai ai dost
ḳhaak meñ rañg-e-gulistāñ ko bhalā dekh sakūñ
mirī āñkhoñ meñ agar itnī namī hai ai dost
tāb-e-parvāz thī jin ko vo ga.e bhī 'mas.ū'
ham kahāñ jaa.eñ ki be-bāl-o-parī hai ai dost
Top Urdushayar.com