jaañ bhī pur-soz ho anjām-e-tamannā kyā hai
koī batlā.e ki jiine kā bahānā kyā hai
merī āñkhoñ meñ namī bhī ho to vallāh kyā hai
koī bhī jis ko na dekhe vo tamāshā kyā hai
vo na chāheñ to maza chaah meñ phir ḳhaak mile
ham agar chāheñ bhī bil-farz to hotā kyā hai
dil sulagtā hai sulagtā rahe jaltā hai jale
aisī bātoñ se bhalā ishq meñ bantā kyā hai
ham se mansūb haiñ ummīd-o-tamannā-o-ḳhayāl
koī dekhe to zarā aap kā naqshā kyā hai
aql samjhā.egī bahlā.egī phuslā.egī
dil kī chhalnī se magar dekhiye chhantā kyā hai
be-ḳhabar kitne the 'mas.ū' rumūz-e-ġham se
maiñ jo royā to kahā dard se rotā kyā hai