ham maut bhī aa.e to masrūr nahīñ hote
majbūr-e-ġham itne bhī majbūr nahīñ hote
dil hī meñ nahīñ rahte āñkhoñ meñ bhī rahte ho
tum duur bhī rahte ho to duur nahīñ hote
paḌtī haiñ abhī dil par sharmā.ī huī nazreñ
jo vaar vo karte haiñ bharpūr nahīñ hote
ummīd ke vādoñ se jī kuchh to bahaltā thā
ab ye bhī tire ġham ko manzūr nahīñ hote
arbāb-e-mohabbat par tum zulm ke baanī ho
ye varna mohabbat ke dastūr nahīñ hote
kaunain pe bhārī hai allāh re ġhurūr un kā
itne bhī adā vaale maġhrūr nahīñ hote
hai ishq tirā 'fānī' tash.hīr bhī shohrat bhī
rusvā-e-mohabbat yuuñ mash.hūr nahīñ hote