hazār baar use nākāmiyoñ ne samjhāyā
magar ye dil tirī ulfat se baaz kab aayā
vahī lagan hai ki chaliye jahāñ kahīñ tū ho
vahī chubhan ki mohabbat se ham ne kyā paayā
khulegā raaz ki āñchal kī kyā haqīqat hai
kabhī jo sar se mohabbat ke ye Dhalak aayā
guloñ ke ghaav bhī shabnam se dhul sake haiñ kabhī
ki ashk ne mire zaḳhmoñ ko aur mahkāyā
vo kyā maqām hai dāman kī aarzū meñ nadīm
jahāñ pe dast-e-tamannā bhī jā ke tharrāyā
yahāñ bahār na jān-e-bahār hai 'mas.ūd'
kahāñ se turfa ġhazal aaj phir ye kah laayā