maiñ ne kahā ki raaz chhupāyā na jā.egā
bole kisī se muñh bhī lagāyā na jā.egā
ho ek do ghaḌī kā to ham jī pe sah bhī leñ
āThoñ pahar kā ġham to uThāyā na jā.egā
is nā-murād dil ne ye Thānī hai ai ḳhayāl
soī mohabbatoñ ko jagāyā na jā.egā
har ġhuncha dil-girafta huā sun ke merī baat
chhoḌo bhī ab vo qissa sunāyā na jā.egā
kis bhārī dil se jaate haiñ ham us ke dar pe aaj
sar jhuk gayā vahāñ to uThāyā na jā.egā
kis kī nazar ke kāñTe pe tultā hai barg-e-gul
tere subuk laboñ se batāyā na jā.egā
har laala us chaman kā hai be-dāġh aarzū
shabnam se ye charāġh jalāyā na jā.egā
'mas.ū' bāġh-e-hind meñ kyā aa ga.ī bahār
ham se to is bahār meñ gaayā na jā.egā