jiine kī hai ummīd na marne kā yaqīñ hai
ab dil kā ye aalam hai na duniyā hai na diiñ hai
gum haiñ reh-e-taslīm meñ tālib bhī talab bhī
sajda hī dar-e-yār hai sajda hī jabīñ hai
kuchh maz.har-e-bātin huuñ to kuchh mahram-e-zāhir
merī hī vo hastī hai ki hai aur nahīñ hai
iizā ke sivā lazzat-e-īzā bhī milegī
kyuuñ jalva-gah-e-hosh yahāñ dil bhī kahīñ hai
māyūs sahī hasrati-e-maut huuñ 'fānī'
kis muñh se kahūñ dil meñ tamannā hī nahīñ hai