Iqbal Ashhar

badan mein awwalin ehsas hai takanon ka

Iqbal Ashhar

1965
badan meñ avvalīñ ehsās hai takānoñ kā
rafīq chhūT gayā hai kahīñ uḌānoñ kā
hisār-e-ḳhvāb meñ āñhkeñ panāh letī huī
ajab ḳhumār sā māhaul meñ azānoñ kā
charāġh-e-sub.h sī bujhne lagīñ mirī āñhkeñ
jab intishār na dekhā gayā gharānoñ kā
amaan kahte haiñ jis ko bas ik tasavvur hai
ki yuuñ Thahar sā gayā vaqt imtihānoñ kā
jo us ke hoñToñ kī jumbish meñ qaid thā 'ash.har'
vo ek lafz banā bojh mere shānoñ kā
Top Urdushayar.com