ḳhudā ne laaj rakhī merī be-navā.ī kī
bujhā charāġh to jugnū ne rahnumā.ī kī
tire ḳhayāl ne tasḳhīr kar liyā hai mujhe
ye qaid bhī hai bashārat bhī hai rihā.ī kī
qarīb aa na sakī koī be-vazū ḳhvāhish
badan-sarā.e meñ ḳhushbū thī pārsā.ī kī
matā-e-dard hai dil meñ to aañkh meñ aañsū
na raushnī kī kamī hai na raushnā.ī kī
ab apne aap ko qatra bhī kah nahīñ saktā
burā kiyā jo samundar se āshnā.ī kī
use bhī shah ne musāhib banā liyā apnā
jis aadmī se tavaqqo thī lab-kushā.ī kī
vahī to markazī kirdār hai kahānī kā
usī pe ḳhatm hai tāsīr bevafā.ī kī