tumhārī ḳhushbū thī ham-safar to hamārā lahja hī dūsrā thā
ye aks bhī āshnā sā hai kuchh magar vo chehra hī dūsrā thā
vo adh-khulī khiḌkiyoñ kā mausam guzar gayā to ye raaz jaanā
idhar shanāsā.ī tak nahīñ thī udhar taqāzā hī dūsrā thā
gulāb khilte the chāhatoñ ke charāġh jalte the āhaToñ ke
jahāñ barastī haiñ vahshateñ ab kabhī vo rasta hī dūsrā thā
kabhī na kahtā thā dil hamārā ki āñ.suoñ ko likheñ sitāra
judā.iyoñ kī kasak se pahle ye isti.āra hī dūsrā thā
udaas lafzoñ ke rāste meñ ye raushnī kī lakīr kab thī
mohabbatoñ ke safar se pahle ġhazal kā lahja hī dūsrā thā