Iqbal Ashhar

dayar-e-dil mein naya naya sa charagh koi jala raha hai

Iqbal Ashhar

1965
dayār-e-dil meñ nayā nayā sā charāġh koī jalā rahā hai
maiñ jis kī dastak kā muntazir thā mujhe vo lamha bulā rahā hai
phir adh-khulā sā koī darīcha mire tasavvur pe chhā rahā hai
ye khoyā khoyā sā chāñd jaise tirī kahānī sunā rahā hai
vo raushnī kī talab meñ gum hai maiñ ḳhushbuoñ kī talāsh meñ huuñ
maiñ dā.eroñ se nikal rahā huuñ vo dā.eroñ meñ samā rahā hai
vo kam-sinī kī shafīq yādeñ gulāb ban kar mahak uThī haiñ
udaas shab kī ḳhamoshiyoñ meñ ye kaun lorī sunā rahā hai
suno samundar kī shoḳh lahro havā.eñ Thahrī haiñ tum bhī Thahro
vo duur sāhil pe ek bachcha abhī gharauñde banā rahā hai
Top Urdushayar.com