mujh pe rakhte haiñ hashr meñ ilzām
aa na jaa.e zabāñ pe terā naam
zabt kī koshisheñ bhī jaarī haiñ
dard bhī kar rahā hai apnā kaam
jo ibārat na ho tire ġham se
ahl-e-dil par vo zindagī hai harām
vaqfa-e-maut bhī ġhanīmat hai
kuchh to fil-jumla mil gayā ārām
us ne dekhā hai shaam kā manzar
jis ne dekhī hai bekasoñ kī shaam
kis se ab dard kī davā chāhūñ
dard uThtā hai le ke terā naam
ab qayāmat qarīb hai 'fānī'
fitna-e-ishq ho chalā hai tamām