pyaas ke bedār hone kā koī rasta na thā
is taraf bādal nahīñ the us taraf dariyā na thā
raat kī tārīkiyāñ pahchān letī thiiñ use
ruuh kī āvāz thā vo jism kā saaya na thā
terī yādeñ to charāġhoñ kī qatāreñ ban ga.iiñ
pahle bhī ghar meñ ujālā thā magar aisā na thā
chand qatroñ ke liye dariyā ko kyuuñ taklīf dī
merī jānib dekh lete maiñ koī sahrā na thā
raat aa.ī to charāġhoñ kī baḌī ta.azīm thī
aur jab guzrī to koī pūchhne vaalā na thā