Iqbal Ashhar

kabhi kasak judai ki kabhi mahak visal ki

Iqbal Ashhar

1965
kabhī kasak judā.ī kī kabhī mahak visāl kī
qadam na the zamīñ pe jab vo umr thī kamāl kī
ka.ī dinoñ se fikr kā ufuq udaas udaas hai
na jaane kho ga.ī kahāñ dhanak tire ḳhayāl kī
rafāqatoñ ke vo nishāñ na jaane kho ga.e kahāñ
vo ḳhushbuoñ kī rahguzar vo ratjagoñ kī pālkī
kisī ko kho ke pā liyā kisī ko pā ke kho diyā
na intihā ḳhushī kī hai na intihā malāl kī
vo raushnī kā ḳhvāb thā magar vahī sarāb thā
uruuj meñ chhupī huī thī ibtidā zavāl kī
Top Urdushayar.com