Iqbal Ashhar

pyas dariya ki nigahon se chhupa rakkhi hai

Iqbal Ashhar

1965
pyaas dariyā kī nigāhoñ se chhupā rakkhī hai
ek bādal se baḌī aas lagā rakkhī hai
terī āñkhoñ kī kashish kaise tujhe samjhā.ūñ
in charāġhoñ ne mirī niiñd uḌā rakkhī hai
kyuuñ na aa jaa.e mahakne kā hunar lafzoñ ko
terī chiTThī jo kitāboñ meñ chhupā rakkhī hai
terī bātoñ ko chhupānā nahīñ aatā mujh se
tū ne ḳhushbū mire lahje meñ basā rakkhī hai
ḳhud ko tanhā na samajh lenā na.e dīvānoñ
ḳhaak sahrāoñ kī ham ne bhī uḌā rakkhī hai
Top Urdushayar.com