rāsta bhuul gayā ek sitāra apnā
chāñd ne band kiyā jab se darīcha apnā
roz ā.īna dikhātī hai zamāne bhar ko
zindagī dekh le tū bhī kabhī chehra apnā
aks terā kabhī ojhal ho agar manzar se
ā.īna DhūñDhtā rah jaa.e ujālā apnā
sochtā huuñ tirī tasvīr dikhā duuñ us ko
raushnī ne kabhī saaya nahīñ dekhā apnā
ye sulagtā huā sahrā hai nishānī us kī
rāsta bhuul gayā thā koī dariyā apnā