bhīgī bhīgī palkoñ par ye jo ik sitāra hai
chāhatoñ ke mausam kā āḳhirī shumāra hai
amn ke parindoñ kī sarhadeñ nahīñ hotīñ
ham jahāñ Thahar jaa.eñ vo vatan hamārā hai
shaam dastakeñ degī tab samajh meñ aa.egā
zindagī talātum hai maut ik sahārā hai
kyā ajab pahelī hai zindagī kā mela bhī
pahle ḳhud ko DhūñDā hai phir tujhe pukārā hai
aarzū hai sūraj ko aa.ina dikhāne kī
raushnī kī sohbat meñ ek din guzārā hai