silsila ḳhatm huā jalne jalāne vaalā
ab koī ḳhvāb nahīñ niiñd uḌāne vaalā
ye vo sahrā hai sujhā.e na agar tū rasta
ḳhaak ho jaa.e yahāñ ḳhaak uḌāne vaalā
kyā kare aañkh jo pathrāne kī ḳhvāhish na kare
ḳhvāb ho jaa.e agar ḳhvāb dikhāne vaalā
yaad aatā hai ki maiñ ḳhud se yahīñ bichhḌā thā
yahī rasta hai tire shahr ko jaane vaalā
ai havā us se ye kahnā ki salāmat hai abhī
tere phūloñ ko kitāboñ meñ chhupāne vaalā
zindagī apnī añdheroñ meñ basar kartā hai
tere āñchal ko sitāroñ se sajāne vaalā
sabhī apne nazar aate haiñ ba-zāhir lekin
rūThne vaalā hai koī na manāne vaalā
le ga.iiñ duur bahut duur havā.eñ jis ko
vahī bādal thā mirī pyaas bujhāne vaalā