Iqbal Ashhar

tamashai bane rahiye tamasha dekhte rahiye

Iqbal Ashhar

1965
tamāshā.ī bane rahiye tamāshā dekhte rahiye
yahī duniyā hai to kab tak ye duniyā dekhte rahiye
agar apne bikharne kā nazāra kar nahīñ sakte
to ye kiije ki vo raushan sitāra dekhte rahiye
ki yuuñ manzar badal jaane se hairānī nahīñ hotī
agar gulshan meñ rahnā ho to sahrā dekhte rahiye
miyāñ kyā ā.īñe ko khelne kī chiiz samjhe the
ab apne-āp ko qistoñ meñ baTtā dekhte rahiye
idhar tum pyaas kī hurmat kā qissa chheḌ baiThe ho
udhar mausam ye kahtā hai ki dariyā dekhte rahiye
Top Urdushayar.com