Iqbal Ashhar

raat ka pichhla pahar kaisi nishani de gaya

Iqbal Ashhar

1965
raat kā pichhlā pahar kaisī nishānī de gayā
munjamid ā.ankhoñ ke dariyā ko ravānī de gayā
maiñ sadāqat kā alam-bardār samjhā thā jise
vo bhī jab ruḳhsat huā to ik kahānī de gayā
pahle apnā tajziya karne pe uksāyā mujhe
phir natīja-ḳheziyoñ ko be-zabānī de gayā
kyuuñ ujāloñ kī navāzish ho rahī hai har taraf
kyā koī bujhte charāġhoñ ko javānī de gayā
kyuuñ na is āvāra bādal ko duā.eñ dījiye
jo samundar ko ḳhalish sahrā ko paanī de gayā
Top Urdushayar.com