Fani Badayuni

jin KHak ke zarron par wo saya-e-mahmil tha

Fani Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1879-1941
jin ḳhaak ke zarroñ par vo sāya-e-mahmil thā
jo ḳhaak kā zarra thā vahshat-kada-e-dil thā
bedād kī har tah meñ sau tarah se shāmil thā
vo jaan kā dushman jo kahne ko mirā dil thā
ġham husn-e-mukammal thā dil hairat-e-kāmil thā
tasvīr kā ā.īna tasvīr ke qābil thā
ham jī se guzar jaanā āsān samajhte the
dekhā to mohabbat meñ ye kaam bhī mushkil thā
ā.īna-o-dil donoñ kahne hī kī bāteñ thiiñ
terī hī tajallī thī aur tū hī muqābil thā
har bātil-o-har-nāhaq ik rāz-e-haqīqat hai
jis shakl meñ haq aayā vābasta-e-bātil thā
haañ aap kisī ko yuuñ barbād nahīñ karte
ye 'fānī'-e-nākārā sach hai isī qābil thā
Top Urdushayar.com