ziist kā hāsil banāyā dil jo goyā kuchh na thā
ġham ne dil ko dil banāyā varna kyā thā kuchh na thā
vo to mere sāmne the dekhne kī der thī
maiñ ne āñkheñ band kar liiñ varna pardā kuchh na thā
yā alam-koshī rahī yā ḳhud-farāmoshī rahī
dil kisī din dil na thā yā dard thā yā kuchh na thā
kuchh samajh kar ḳhud hī ham ne jaan de dī dil ke saath
un kī nazroñ kā abhī aisā taqāzā kuchh na thā
aap kā dīvāna thā ye idda.ā bātil sahī
'fānī'-e-dīvāna dīvāna bhī thā yā kuchh na thā