jis shajar par samar nahīñ hotā
us ko patthar kā Dar nahīñ hotā
aañkh meñ bhī chamak nahīñ hotī
jab vo pesh-e-nazar nahīñ hotā
mai-kade meñ ye ek ḳhūbī hai
nāsehā terā Dar nahīñ hotā
ab to bāzār bhī haiñ be-raunaq
koī yūsuf idhar nahīñ hotā
jo sadaf sāhiloñ pe rah jaa.e
us meñ koī guhar nahīñ hotā
aah to ab bhī dil se uThtī hai
lekin us meñ asar nahīñ hotā
ġham ke māroñ kā jo bhī maskan ho
ghar to hotā hai par nahīñ hotā
ahl-e-dil jo bhī kaam karte haiñ
us meñ shaitāñ kā shar nahīñ hotā