ḳhudī kam zindagī meñ ġham bahut haiñ
yahī hai imtihāñ to ham bahut haiñ
hamārā dard chehre se ayaañ hai
hamāre dard ke mahram bahut haiñ
huī hamvār kis se rāh-e-hastī
abhī tak is meñ pech o ḳham bahut haiñ
zarūrī to nahīñ ik fasl-e-gul ho
junūñ ke aur bhī mausam bahut haiñ
bahut haiñ rone vaale gulsitāñ par
sharīk-e-girya-e-shabnam bahut haiñ
mirī palkoñ pe raushan haiñ jo aañsū
mujhe ai dīda-e-pur-nam bahut haiñ
nahīñ ik ālam-e-shām-e-judā.ī
nazar meñ aur bhī aalam bahut haiñ