Karamat Bukhari

lab pe kisi ujDi hui jagir ka matam

Karamat Bukhari

lab pe kisī ujḌī huī jāgīr kā mātam
har lafz mirā halqa-e-zanjīr kā mātam
dil meñ kahīñ bujhte hue armānoñ kā nauha
āñkhoñ meñ kisī yaad kī tasvīr kā mātam
har soch meñ sañgīn fazāoñ kā fasāna
har fikr meñ shāmil huā tahrīr kā mātam
jab se huā ma.alūm ki ye chāñd hai patthar
kartā huuñ maiñ ab chāñd kī tasḳhīr kā mātam
har harf mirā karb-e-musalsal kī ghuTan meñ
kartā hai mire ḳhāna-e-dil-gīr kā mātam
Top Urdushayar.com