insāf jo nādār ke ghar tak nahīñ pahuñchā
samjho ki abhī haath samar tak nahīñ pahuñchā
mizhgāñ pe ruke haiñ abhī Dhalke nahīñ aañsū
ye soch kā sailāb safar tak nahīñ pahuñchā
kuchh log abhī ḳhair kī ḳhvāhish ke amiiñ haiñ
dastār kā jhagḌā abhī sar tak nahīñ pahuñchā
parvāz meñ thā amn kā ma.asūm parinda
sunte haiñ ki be-chāra shajar tak nahīñ pahuñchā
insān to dukh-dard ke sahrāoñ meñ gum hai
ye qāfila ḳhushiyoñ ke Dagar tak nahīñ pahuñchā
muddat se mohabbat ke safar meñ huuñ 'karāmat'
lekin abhī chāhat ke nagar tak nahīñ pahuñchā