kuchh bas hī na thā varna ye ilzām na lete
ham tujh se chhupā kar bhī tirā naam na lete
nazreñ na bachānā thiiñ nazar mujh se milā kar
paiġhām na denā thā to paiġhām na lete
kyā umr meñ ik aah bhī baḳhshī nahīñ jaatī
ik saañs bhī kyā aap ke nākām na lete
ab mai meñ na vo kaif na ab jaam meñ vo baat
ai kaash tire haath se ham jaam na lete
qaabū hī ġham-e-ishq pe chaltā nahīñ varna
ehsān-e-ġham-e-gardish-e-ayyām na lete
ham haiñ vo balā dost ki gulshan kā to kyā zikr
jannat bhī bajā.e qafas o daam na lete
ḳhāmosh bhī rahte to shikāyat hī Thahartī
dil de ke kahāñ tak koī ilzām na lete
allāh re mire dil kī nazākat kā taqāzā
tāsīr-e-mohabbat se bhī ham kaam na lete
terī hī razā aur thī varna tire bismil
talvār ke saa.e meñ bhī ārām na lete
ik jabr hai ye zindagī ishq ki 'fānī'
ham muft bhī ye aish-e-ġham-anjām na lete