vāhime kī ye mashq-e-paiham kyā
yaas o ummīd shādī o ġham kyā
tum ko is rāz-e-mā-sivā kī qasam
tum pe chhāyā huā hai aalam kyā
un ke aage ġham ik fasāna hai
un se kahiye fasāna-e-ġham kyā
aish-e-rafta kī yaad se hāsil
qissa-e-ḳhuld o zikr-e-ādam kyā
tā-kujā āh-e-zer-e-lab āḳhir
intihā-e-sukūt barham kyā
ġham-e-duniyā ba-qadr-e-zarf nahīñ
hasrat-e-besh o shikva-e-kam kyā
soz-e-ġham kī hadeñ nahīñ miltīñ
bujh ga.ī ātish-e-jahannam kyā
garm-o-sard-e-zamāna jo kuchh ho
varna firdaus kyā jahannam kyā
maut jis kī hayāt ho 'fānī'
us shahīd-e-sitam kā mātam kyā