muqaddar meñ sāhil kahāñ hai miyāñ
mirī naav be-bādbāñ hai miyāñ
jo barq-e-tapāñ se munavvar rahe
vahī āshiyāñ āshiyāñ hai miyāñ
kahāñ jā.iye mai-kada chhoḌ kar
yahī ek jā-e-amāñ hai miyāñ
abad tak mukammal na ho pā.egī
shab-e-ġham kī ye dāstāñ hai miyāñ
kahāñ paaoñ rakkhūñ pareshān huuñ
zamīñ sūrat-e-āsmāñ hai miyāñ
muqaddas sahī kārobār-e-vafā
magar is meñ nuqsān-e-jāñ hai miyāñ
ajab phīkī phīkī sī hai chāñdnī
udaas aaj kyuuñ chandramāñ hai miyāñ
jahāñ dil ke badle meñ miltā hai dil
vo duniyā na jaane kahāñ hai miyāñ
nahīñ mujh se 'ābid' vo kuchh ḳhaas duur
faqat zindagī darmiyāñ hai miyāñ