sirf karb-e-anā diyā hai mujhe
zindagī ne bhī kyā diyā hai mujhe
muskurāte hue bhī Dartā huuñ
ġham ne buzdil banā diyā hai mujhe
jis tarah ret par ho naqsh koī
yuuñ havā ne miTā diyā hai mujhe
maiñ use dil-lagī samajhtā thā
tū ne sach-much bhulā diyā hai mujhe
yārab is be-hisoñ ke shahr meñ kyuuñ
dil-e-dard-āshnā diyā hai mujhe
vo bhī ThanDī havā kā jhoñkā thā
jis ne yaksar jalā diyā hai mujhe
us ne rakkhā hai be-tarah masrūf
roz hī ġham nayā diyā hai mujhe
aaj mere hī dil ne ai 'ābid'
apnā dushman banā diyā hai mujhe