be-tamannā huuñ ḳhasta-jān huuñ maiñ
ek ujḌā huā makān huuñ maiñ
jañg to ho rahī hai sarhad par
apne ghar meñ lahūluhān huuñ maiñ
ġham-o-ālām bhī haiñ mujh ko aziiz
qadr-dānoñ kā qadr-dān huuñ maiñ
zabt tahzīb hai mohabbat kī
vo samajhte haiñ be-zabān huuñ maiñ
lab pe iḳhlās haath meñ ḳhanjar
kaise yāroñ ke darmiyān huuñ maiñ
chhed hī chhed haiñ faqat jis meñ
aisī kashtī kā bādbān huuñ maiñ
jo kisī ko bhī aaj yaad nahīñ
bhūlī-bisrī vo dāstān huuñ maiñ
yā girāñ-gosh hai nagar kā nagar
yā kisī dasht meñ azaan huuñ maiñ
shā.irī ho ki āshiqī 'ābid'
har rivāyat kā pāsbān huuñ maiñ