Abid Munavari

aur kis ka ghar kushada hai kahan Thahregi raat

Abid Munavari

Jammu and Kashmir, India

1938
aur kis kā ghar kushāda hai kahāñ Thahregī raat
mujh ko hī mehmāñ-navāzī kā sharaf baḳhshegī raat
niiñd aa.egī na un be-ḳhvāb āñkhoñ meñ kabhī
mujh ko thapkī dete dete aap so jā.egī raat
shaam hargiz din ke siine meñ na ḳhanjar ghoñptī
ye agar mālūm hotā ḳhūñ-bahā māñgegī raat
āñsuoñ se tar-ba-tar ho jā.egā āñgan tamām
karb-e-tanhā.ī pe apne phuuT kar ro.egī raat
chāñd-tāroñ ko chhupā bhī leñ ghane bādal agar
jhilmilāte jugnuoñ se rāsta pūchhegī raat
apne apne lutf se donoñ navāzeñge mujhe
zaḳhm-e-dil baḳhshegā din us par namak chhiḌkegī raat
sūraj apne rath ko phir ākāsh par dauḌā.egā
sub.h kā taarā nikalte hī simaT jā.egī raat
jab tire juuḌe kā gajrā yaad aa.egā mujhe
rāt-kī-rānī ke phūloñ se mahak uThegī raat
ghar palaT kar jā.ūñgā ruḳh par liye din-bhar kī dhuul
mujh ko ai 'ābid' baḌī mushkil se pahchānegī raat
Top Urdushayar.com